log the kya jo azalon se mushtaq hue

log the kya jo azalon se mushtaq hue
dasht mein sar katwae sina-chaak hue

kaisa kumba tha wo jis ke bachche bhi
pair ke khak aur khun ka dariya pak hue

khurme ke ek ped ne dekhi sari katha
mushk phati jab jism se bazu aaq hue

anguron ke jhund mein mitha jharna tu
tujh par mitne wale khush-idrak hue

awwal din jitne wade the qarz liye
aakhir din karbal mein sab bebak hue

kitni chikhen sadiyon ki tahwil mein gum
kitne kheme aag mein jal kar khak hue

aap ne zahr-bujhi teghen khain aur aap
tarikhon ki satron mein tiryaq hue

kanon se aaweze utre haq thahra
nezon par sar hakim ki imlak hue

matam ki mazmum ghadi jab aa pahunchi
kuchh aansu aaine kuchh auraq hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close