log ud ke ja pahonche be-karan khalaon mein hum asir hain ab tak jahl ki guphaon mein be-sabab nahin ghar mein tirgi hui hogi chand chhup gaya hoga zulf ki ghataon mein hum amal se hain khali yunhi hogi pamali dhundiye na tasiren be-asar duaon mein ye tasalsul-e-tufan ye azab lahron ka kaun si bashaarat hai chikhti hawaon mein kya yahan amiron ke khel hone wale hain ud rahe hain ghubbare shahr ki fazaon mein kisht-e-zafran ho kar har-nafas mahak utthe mere pyar ki khushbu ghol do hawaon mein qaum ke safine ka ab khuda hi hafiz hai ikhtilaf barpa hai aaj na-khudaon mein kal thi jin ki mutthi mein gardish-e-zamana bhi waqt ki hain zanjiren aaj un ke panw mein hum sharif-zade hain be-haya nahin lekin sar chhupaenge kaise mukhtasar ridaon mein nafraton ke saudagar parcham-e-aman le kar pyar bantne nikle 'shad' ganw ganw mein