log uth jaenge un ke tazkire rah jaenge ab yahan insaniyat ke maqbare rah jaenge hont si dega to hathon ko zaban mil jaegi zabte tere sabhi ke sab dhare rah jaenge gar teri mardum-shanasi ki yahi haalat rahi tere chaaron or sare maskhare rah jaenge shahr walon ko amir-e-shahr jul de jaega dil mein nafrat aankh mein aansu bhare rah jaenge zulm ki tahrir bil-akhir mita di jaegi harf ud jaenge khali matre rah jaenge maut ka phanda to hai sab ke gale mein 'aftab' hum chale jaenge to kya dusre rah jaenge