ghar ata kar makan se kya hasil sirf wahm-o-guman se kya hasil be-yaqini hi be-yaqini hai is zamin-o-zaman se kya hasil soch aage badhe to baat bane sirf umr-e-rawan se kya hasil dil bhi aasuda chahiye warna daulat-e-be-karan se kya hasil ek chehra hai kaenat meri surat-e-digaran se kya hasil jab khushi ruh ki na sath rahi rahat-e-jism-o-jaan se kya hasil dil mein jab jins-e-arzu hi nahin sirf khali dukan se kya hasil apne aamal ko bhi badlo 'adil' sirf aah-o-fughan se kya hasil