logon ke pas dard ki daulat nahin rahi

logon ke pas dard ki daulat nahin rahi
yani kisi ko koi zarurat nahin rahi

masruf is qadar kiya us ki talash ne
mujh ko to khud se milne ki fursat nahin rahi

duniya ne harf harf mein taqsim kar diya
ab zindagi kisi se ibarat nahin rahi

achchha hua ki tark-e-talluq hi kar liya
aankhon ko intizar ki zahmat nahin rahi

main kya karun dimagh ne takhta ulat diya
ab dil pe dost teri hukumat nahin rahi

gum ho gae hain sare saliqe wafaon ke
ab is jahan mein rasm-e-mohabbat nahin rahi

ruswaiyon ne ghar ki wo sar hi jhuka diya
yun shahar mein wo unchi imarat nahin rahi

'rukhsar' muflisi ke karishme ajib hain
ghurbat mein dosti bhi salamat nahin rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close