us ko tum mere talluq ka hawala dete main bhi kal us ka shanasa tha ye samjha dete ye amawas ka andhera hai ki chhutta hi nahin kash wo aa ke kabhi ghar ko ujala dete hum ne duniya ka bahut sath diya hai ab tak kash ek bar kabhi sath hum apna dete hum tahi-dast sahi phir bhi sakhi hain itne qatra milta to ewaz mein tumhein dariya dete dil-shikasta ki tasalli ko hai duniya lekin kash wo bhi to kabhi aa ke sahaara dete sirf ghaflat ko to sona nahin kahte 'athar' aankhon ko nind hi ke sath mein sapna dete