logon ki malamat bhi hai khud dard-sari bhi kis kaam ki ye apni wasia-un-nazari bhi kya jaaniye kyun sust thi kal zehan ki raftar mumkin hui taron se meri ham-safari bhi raaton ko kali ban ke chatakta tha tera jism dhoke mein chali aai nasim-e-sahari bhi khud apne shab-o-roz guzar jaenge lekin shamil hai mere gham mein teri dar-ba-dari bhi furqat ke shab-o-roz mein kya kuchh nahin hota qudarat pe malamat bhi dua-e-sahari bhi ek fard ki ulfat to badi kam-nazari hai hai kis mein magar ahliyat-e-kam-nazari bhi