logon mein dekh-bhaal ki aadat nahin rahi

logon mein dekh-bhaal ki aadat nahin rahi
ya aainon ki shahr mein qimat nahin rahi

mana koi nibah ki surat nahin rahi
lekin nahin ki tujh se mohabbat nahin rahi

yun bhi rihai ka koi imkan nahin raha
pahli si aarzu mein bhi shiddat nahin rahi

warna koi to aata mera haal puchhne
shayad kisi ko meri zarurat nahin rahi

us ka bhi be-wafaon mein hone laga shumar
apni bhi jaise shahr mein izzat nahin rahi

kuchh main bhi thak gai hun use dhundte hue
kuchh zindagi ki pas bhi mohlat nahin rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close