ja ke milta hun na apna hi pata deta hun

ja ke milta hun na apna hi pata deta hun
main use hi nahin khud ko bhi saza deta hun

roz din bhar ki mashaqqat se uthata hun jise
raat hote hi wo diwar gira deta hun

kaun hai mujh mein jo bahar nahin aane pata
kab se main jism ke sahra mein sada deta hun

kaun sa karb chhalakta hai hansi se meri
kaise hansta hun ki duniya ko rula deta hun

thokaren kha ke sanbhalta nahin lekin 'shahid'
kam se kam rah ke patthar to hata deta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close