lubha rahi to hai duniya chamak damak ki mujhe magar hayat gawara nahin dhanak ki mujhe hamesha apni ladai main aap ladta hun nahin rahi kabhi hajat kisi kumak ki mujhe bahut dinon se zaman o makan hail hain ki aas bhi na rahi ab teri jhalak ki mujhe mere qalam ki jo zad mein ye bahr o bar aate duhai dene lage nan aur namak ki mujhe mera guman yaqin mein badalta rahta hai samajhne wale bhale hi samajh len shakki mujhe chunanche gardish-e-ayyam thak ke baith gai main sakht-jaan hun kya pisti ye chakki mujhe isi liye to main nimta raha hun kaam apne main jaanta hun ki mohlat hai aaj tak ki mujhe ada kiya usi sikke mein be-jhijak main ne hui jahan kahin mahsus bu hitak ki mujhe kharab-haal ye be-'khair' o be-adab ho kar bhatak na jae kahin fikr hai sadak ki mujhe