lun wam bakht-e-khufta se yak-khwab-e-khush wale 'ghaalib' ye khauf hai ki kahan se ada karun khush wahshate ki arz-e-junun-e-fana karun jun gard-e-rah jama-e-hasti qaba karun aa ai bahaar-e-naz ki tere khiram se dastar gird-e-shakh-e-gul-e-naqsh-e-pa karun khush uftadgi ki ba-sahra-e-intizar jun jada gard-e-rah se nigah surma-sa karun sabr aur ye ada ki dil aawe asir-e-chaak dard aur ye kamin ki rah-e-nala wa karun wo be-dimagh-e-minnat-e-iqbaal hun ki main wahshat ba-dagh-e-saya-e-baal-e-huma karun wo iltimas-e-lazzat-e-be-dad hun ki main tegh-e-sitam ko pusht-e-kham-e-iltija karun wo raaz-e-nala hun ki ba-sharh-e-nigah-e-ajz afshan ghubar-e-surma se fard-e-sada karun