lut jaegi hayat na thi ye khabar mujhe rona padega hijr mein sham-o-sahar mujhe uthta hun bar bar kaleje ko tham kar dil mein chubho raha hai koi neshtar mujhe duniya mein aansuon ki basa kar chali gain achchha diya wafaon ka meri samar mujhe bas ai junun-e-shauq bahut nam pa chuka lillah aur dahr mein ruswa na kar mujhe jalwe samet ke dida-e-hairan mein rah na jaen altaf-e-be-panah se dekha na kar mujhe ishq-o-junun mein zist ko barbaad kar chuka kahte hain log 'mazhar'-e-ashufta-sar mujhe