sabab kya hai kabhi samjhi nahin main ki tuti to bahut bikhri nahin main rakhi hai guftugu us se har ek pal sukhan jis se kabhi rakhti nahin main ye chot apne hi hathon se lagi hai kisi ke war se zakhmi nahin main karun kyun yaad tere khal-o-khad ab shikasta aaine chunti nahin main ajab thi rahguzar bhi ham-rahi ki qadam rakh kar kabhi palti nahin main jo pahunchi sahilon par tab khula hai ki ab wo tishnagi rakhti nahin main