lut kar wo aa nahin sakta kabhi socha nahin is liye jate hue main ne use roka nahin hasil-e-ehsas hai ek umr ki tishna-labi abr ka tukda bhi koi shahr par barsa nahin is taraf bhi intiha aur us taraf bhi intiha wo bhi kam hansta nahin aur main bhi kam hansta nahin mera zauq-e-sher hai mamnun-e-ikhlas-e-nazar koi fan-para mera mear se girta nahin lafz ka koi sitara soch ka jugnu koi aaj bhi zulmat-gah-e-ehsas mein chamka nahin tujh se mere rabt ka izhaar lafzon mein kahan main ne apne aap ko bhi is qadar chaha nahin raushni le kar 'munawar' main gaya kis kis ke ghar ghair ho ya koi apna ye kabhi dekha nahin