kab chala jata hai 'shahpar' koi aa ke samne sui ka girna bhi kya aawaz-e-pa ke samne roz be-maqsad khushamad qatl karti hai use roz mar jata hai wo apni ana ke samne karb ki masmum lahren tez tar hone lagin rakh diya kis ne charagh-e-dil hawa ke samne qalb ki gahraiyon mein sirf tera aks hai dekh le kya kah raha hun main khuda ke samne roz koi aas bhar jati hai in mein rang-e-yas roz rakh leta hun main khake bana ke samne dusron ke zakhm bun kar odhna aasan nahin sab qabaen hech hain meri rida ke samne