luta ke rah-e-mohabbat mein har khushi main ne liya hai gham ka sahaara abhi abhi main ne na jaane kyun teri chashm-e-karam ko sah na saka tere sitam to sahe the hansi khushi main ne wahin pe aa gae aankhon mein dafatan aansu jahan bhi dekh li hansti hui kali main ne na kha sakengi nigahen meri fareb sukun ki dhadkanon hi main pai hai zindagi main ne