lutaun mastiyan sarsabz rahguzar ki tarah dilon ko rahaten bakhshun hare shajar ki tarah kare wo raat ki manind dagh dagh mujhe main rang rang karunga use sahar ki tarah wo dhup hai ki hawa phul hai ki shabnam hai kabhi to dekh use sahib-e-nazar ki tarah wo bewafa mujhe dil se nikal kar dekhe main us ke zehn mein tadpun sada sharar ki tarah ye roz-o-shab ka tasalsul bata raha hai mujhe hai be-qarar mashiyyat abhi bashar ki tarah payambaron ke sahife hain e'timad mera jahan-e-zist mein phailunga bahr-o-bar ki tarah sitam hai 'kazmi' ghar mein bhi ab sabhi lamhe garan guzarte hain ehsas par safar ki tarah