zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun ek gardish-e-mudam mein tu bhi hai main bhi hun be-farsh-o-baam silsila-e-kaenat ke is be-sutun nizam mein tu bhi hai main bhi hun be-sal-o-sin zamanon mein phaile hue hain hum be-rang-o-nasl nam mein tu bhi hai main bhi hun is daimi hisar mein hum ko mafar kahan zarron ke azhdaham mein tu bhi hai main bhi hun har tirah-fam subh ka wirsa hai mushtarak har nur-dida sham mein tu bhi hai main bhi hun