lute jate hain lekin gham nahin hai ab is aalam mein wo aalam nahin hai tamannaen salibon par saji hain sar-e-pindar phir bhi kham nahin hai qayamat-khez hai jadu-bayani magar baaton mein us ke dam nahin bahaaren aur khizaen sab usi ki mera apna koi mausam nahin hai agar milte to shayad khush na rahte bichhadne ka bhi ab matam nahin hai badai banda-parwar ko mubarak faqir-e-urdu bhi kuchh kam nahin hai