millaten jab jada-e-haq se gurezan ho gain jaane kitni bastiyan shahr-e-khamoshan ho gai pastiyan panjon ke bal uchhli to qimat badh gain azmaten bazar mein pahunchin to arzan ho gain zabt-e-gham ka ye tamasha bhi kisi din dekhna aandhiyan tinkon se takra kar pasheman ho gain izzat-o-namus ke dawe fasana ban gain ismaten jab khud bhari mahfil mein uryan ho gain be-hisi khud-gharziyan ayyariyan makr-o-fareb aaj-kal ye khubiyan izzat ka saman ho gain aap to khamosh rah kar bhi bahut kuchh kah gae ranjishen jo dil pe thin rukh par numayan ho gain wo bhi kya din the ki jab aazad the zehn-o-zamir ab to in baaton ke guzre jaise sadiyan ho gain