lutf aa jae mohabbat ka meri jaan mujh ko ho wahi dard tujhe jo hai sitam-ran mujh ko tum agar jalwa-numa ho to ho wahdat kasrat aaina-khana nazar aae paristan mujh ko chuste hain dahan-e-zakhm maze le le kar lab-e-mashuq hai us tir ka paikan mujh ko dil-e-afsurda ne afsos kahin ka na rakha sehn-e-gulzar se achchha hai bayaban mujh ko hae shor-afgani-e-husn-e-malih-e-qatil har jarahat ki sada hai ki namak-dan mujh ko kab uthata hai naqab-e-rukh-e-zeba wo shokh bas pareshan na kar ai khwab-e-pareshan mujh ko fikr thi roz-e-azal den gham-e-ulfat kis ko hath phaila ke pukara dil-e-insan mujh ko ghar mein baitha na gaya rah mein thahra na gaya le gaya shauq na jaana tha jahan wan mujh ko ya sikhani na thi us shokh ko ye tarz-e-jafa ya na dena tha ilahi dil-e-nalan mujh ko ek hi daur mein main gir ke na sanbhla saqi gardish-e-jam hui gardish-e-dauran mujh ko baat mein tut gaya 'mehr' mila tha shayad dil bhi ho kar kisi bad-ahd ka paiman mujh ko