kuchh ilaj-e-dil-e-betab meri jaan ho jae

kuchh ilaj-e-dil-e-betab meri jaan ho jae
aaj agar wasl ke wade pe zara han ho jae

ham-nashin is ko kaha karte hain sohbat ka asar
tir aae mere sine mein aur arman ho jae

haq ne wo mushaf-e-rukhsar tujhe bakhsha hai
ki jise dekh ke kafir bhi musalman ho jae

tarz-e-nala sune andaz-e-fughan ko dekhe
ghair baithe meri sohbat mein to insan ho jae

haif ai jazba-e-dil tujh se to ye bhi na hua
ki meri qabr pe wo shokh sitam-ran ho jae

teri aankhen yahi karti hain ishaare zalim
koi be-dil koi bismil koi be-jaan ho jae

aab khanjar ho nadamat se pasina qatil
samne mujh sa agar koi garan-jaan ho jae

panw phailae agar wahshat-e-khatir ne yahi
mujhe dar hai mera ghar hi na bayaban ho jae

tere bismil ko tamanna ho agar jine ki
jauhar-e-khanjar-e-khunkhar rag-e-jaan ho jae

ek jahan mein tera shohra hai masihai ka
kuchh hamare bhi dil-e-zar ka darman ho jae

tujh ko ai bakht-e-siyah is liye hum lae the
ki tu yan aa ke bala-e-shab-e-hijran ho jae

kis ne dekha hai qayamat ko hamara un ka
faisla aaj hi hona hai jo kuchh han ho jae

aankh saqi ki jo palte to palat jae jahan
gardish-e-saghar-e-mai gardish-e-dauran ho jae

apna mashuq hai wo aalam-e-taswir ai 'mehr'
ki use dekhe to 'bahzad' bhi hairan ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close