lutf ab zist ka ai gardish-e-ayyam nahin mai nahin yar nahin shisha nahin jam nahin kab mujhe yaad rukh o zulf-e-siyah-fam nahin koi shaghl is ke siwa subh se ta sham nahin har sukhan par mujhe deta hai wo bad-khu dushnam kaun si baat meri qabil-e-inam nahin nek-nami mein dila firqa-e-ushshaq hain ishq hai wo badnam mohabbat mein jo badnam nahin chehra-e-yar ke saude mein kaha karta hun rukh hai ye subh nahin zulf hai ye sham nahin bosa aankhon ka jo manga to wo hans kar bole dekh lo dur se khane ke ye baadam nahin halqa-e-zulf-e-butan mein hai bhari nikhat-e-gul ai dil is lam mein bu-e-gul-e-islam nahin ibtida ishq ki hai dekh 'amanat' hushyar ye wo aaghaz hai jis ka koi anjam nahin