tumhein zeba nahin hargiz sile ki aarzu rakhna tumhaara kaam hai 'atish' qalam ki aabru rakhna agar dil mein tamanna-e-nashat-e-rang-o-bu rakhna maal-e-khanda-gul ko bhi apne ru-ba-ru rakhna ye mai-khana hai mai-khana taqaddus us ka lazim hai yahan jo bhi qadam rakhna hamesha ba-wazu rakhna kahin tauq-o-salasil hain kahin zahr-e-halahal hai mujhe har aazmaish mein ilahi surkh-ru rakhna zamane par kise malum kaisa bar guzra hai mera haqq-o-sadaqat par madar-e-guftugu rakhna na mil pae suragh-e-manzil-e-jaanan na mil pae hamara kaam hai jari talash-o-justuju rakhna