lutf badhta hai safar ka dost kam raftar se main bhi khush hota hun tere aarzi inkar se aankh lagne ki zara si der thi bas aur phir kat gaya dariya-e-shab bhi khwab ke patwar se meri qurbat mein mera ghar bhi fasurda ho gaya ashk girne lag gae hain dida-e-diwar se ek massage nafraton par bar guzra hai meri phul bheja hai kisi ladki ne sarhad par se us ki aankhen aap ki aankhon se achchhi thin zara baqi sare aap behtar ho purane yar se