zamin-e-fikr mein lafzon ke jangal chhod jaana ghazal mein apni koi sher mohmal chhod jaana hain na-manus abhi karb-e-tamasha se nigahen dayar-e-jaan mein aashob-e-musalsal chhod jaana nazar aaen kabhi tahrir mein be-rabt fiqre kabhi peshani-e-tanqid pe bal chhod jaana badi mushkil se hota hai koi darwesh-khaslat miyan aasan nahin kamkhwab-o-makhmal chhod jaana ki ras aata nahin aankhon ko ab shoalon ka mausam hawaon is taraf bhi la ke baadal chhod jaana 'mubarak' bas yahi ek aakhiri khwahish hai apni jo mujh ko qatl karna ho to maqtal chhod jaana