lutf be-bak mulaqat ka mushkil se uTha

lutf be-bak mulaqat ka mushkil se utha
ek parda tha bil-akhir jo muqabil se utha

husn-e-khalwat-talabi ke liye mahfil se utha
ghair az ishq jo jazba ho use dil se utha

kaif-e-virani-e-khalwat se na mahfil se utha
zauq-e-dil-bastagi jab tak na tah-e-dil se utha

ishq jaisi koi shakhsiyyat-e-jama na mili
ek bhi harf is afsane ka mushkil se utha

aql se gesu-e-geti nahin suljhe yarab
koi diwana isi aab isi gil se utha

pa-shikasta gham-e-wamandagi-r-rah na kar
pas aane ko tere khud koi manzil se utha

raat guldasta-e-afsurda-dili chhod gai
gul-ba-kaf waqt-e-sahar jo teri mahfil se utha

ham-safar kaun hama-waqt hai sae ki tarah
main utha hun to koi sath muqabil se utha

chand tare bhi the mushtaq ki 'mani' ko sunen
subh-dam tak na koi raat ki mahfil se utha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close