lutf-e-hayat-e-nau hai har ek inqalab mein

lutf-e-hayat-e-nau hai har ek inqalab mein
hain asl zindagi ke maze pech-o-tab mein

yun to bahut si baaten hain dil ki kitab mein
lekin hai gham ka tazkira har ek bab mein

lag jaen chaar chand abhi aaftab mein
tahlil kar ke dekhe to koi gulab mein

uf ye itab pahle hi khat ke jawab mein
dhoka mujhe zarur hua intikhab mein

phir kyun na tu ba-gharq ho jam-e-sharab mein
hai aaftab raqs-kunan mahtab mein

phir bhi magar nigah kisi ki isi pe hai
kya rah gaya hai ab dil-e-khana-kharab mein

aashiq khushi se mar na kahin jae sunte hi
taswir-e-dil hai aai udhar se jawab mein

is tarah gul shagufta hai shabnam se bhig ke
baitha ho koi jaise koi naha kar sharab mein

tar-damani mein aae nazar hum hi pesh pesh
aamal-e-zindagi ke hisab-o-kitab mein

nafrat ka bhi jawab mohabbat se dijiye
likkha yahi hai dil ki muqaddas kitab mein

anmol dil sa gauhar-e-nayab dekhiye
tohfa hai pesh khidmat-e-ali-janab mein

jannat ka tazkira kabhi ku-e-sanam ki baat
donon jahan ka lutf hai jam-e-sharab mein

is fitna-za ko kaun zamane mein munh lagae
bad-bu-e-shar hai aa rahi nam-e-sharab mein

ahd-e-jumud jite-ji be-maut ki hai maut
hai lutf zindagi ka to bas inqalab mein

allah kah ke yaad karen ya sanam kahen
rahne den husn ko yunhi lekin hijab mein

zabt-e-gham-e-wafa ka rahe har ghadi khayal
pahla sabaq yahi hai mohabbat ke bab mein

'mahir' gham-e-habib ka allah bhala kare
aksar ghazal hui hai isi pech-o-tab mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close