us ka badan bhi chahiye aur dil bhi chahiye surkhi-e-lab bhi gal ka wo til bhi chahiye ye karobar-e-shauq hai be-gar to nahin is karobar-e-shauq ka hasil bhi chahiye pani aur aag ek jagah chahiyen hamein jo shakh gul-ba-dast ho qatil bhi chahiye sab ko khabar to ho ki wo mera hai bas mera pahlu mein yar barsar-e-mahfil bhi chahiye pa kar charagh-e-dil ki hawas aur badh gai mausuf ko ab ek mah-e-kaamil bhi chahiye yun be-kanar aarzuon se wasul kya khwahish ko ek samt bhi sahil bhi chahiye zholida-mu o chaak-gareban sab ahl-e-dil koi to is qabile mein aaqil bhi chahiye apni alag shanakht bhi 'imrran' ho zarur wo shakhs apni zist mein shamil bhi chahiye