lutf-e-wafa nahin ki wo bedad-gar nahin khamosh hun ki meri fughan be-asar nahin tere baghair talkhi-e-kaam-o-dahan haram dard-e-jigar hai lazzat-e-dard-e-jigar nahin sajdon se na-murad hai jalwon se na-umid wo rahguzar ki ab jo teri rahguzar nahin tum kya gae ki sara zamana chala gaya wo raat-din nahin hain wo sham-o-sahar nahin har har rawish muamla-e-husn-o-ashiqi har har qadam farogh-e-jamal-e-nazar nahin bebak chaal chaal se bebak-tar nazar ab husn to bahut hai magar fitna-gar nahin zakhmon se chur qafile pur-khar raste is mein tera qusur to ai rahbar nahin duniya-e-chashm-o-gosh to barbaad ho gai ab kuchh baghair marka-e-khair-o-shar nahin