rakhe hain aap hath jahan ab wahan nahin hum kya bataen dard kahan hai kahan nahin dil le gae wo dard-e-mohabbat kahan rahe ibrat ka hai mahal ki makin hai makan nahin a barq kis ke waste betab aaj hai is bagh mein mera to kahin aashiyan nahin qatil samajh ke aaj zara tegh-e-naz khinch ye imtihan tera hai mera imtihan nahin chhutenge umr bhar teri zulfon ke kya asir kate katen kisi ke ye wo bediyan nahin lo ek jahan unhin ka taraf-dar ho gaya mahshar mein aaj koi mera ham-zaban nahin duniya mein hashr uthe bhi to kya dekh kar uthe mere mazar ka to kahin bhi nishan nahin tum kya badal gae zamana badal gaya ab wo zamin nahin hai wo ab aasman nahin maskan zamin sher mein 'safdar' bana liya rahte hain us zamin pe jahan aasman nahin