lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam ka nam nahin dil pe khuda ki mar ki phir bhi chain nahin aaram nahin jitne munh hain utni baaten dil ka pata kya khak chale jis ne dil ki chori ki hai ek usi ka nam nahin jalwa o dil mein farq nahin jalwe ko hi ab dil kahte hain yani ishq ki hasti ka aaghaz to hai anjam nahin ruk ke jo sansen aain gain mana ki wo aahen thin lekin aap ne tewar kyun badle aahon mein kisi ka nam nahin ishq ke aazari bhi kahin mar jaane se ji jate hain le ye tasalli rahne de ai maut ye tera kaam nahin kab se padi hain dil mein tere zikr ki sari rahen band barson guzre is basti mein rasm-e-salam-o-payam nahin had thi ye betabi-e-dil ki jaaniye ab kya hona hai sabr ki had bhi hone aai subh nahin ya sham nahin dil pe apna bas nahin chalta un ki shikayat kya kije aap hum apne dushman thahre dost pe kuchh ilzam nahin dil se kisi ki aankhon tak kuchh raaz ki baaten pahunchi hain aankh se dil tak aaya ho aisa to koi paigham nahin naza mein 'fani' tu ne ye kis ka chupke chupke nam liya kyun o kafir teri zaban par ab bhi khuda ka nam nahin