kahne ko to har baat kahi tere muqabil lekin wo fasana jo mere dil pe raqam hai mahrumi ka ehsas mujhe kis liye hota hasil hai jo mujh ko kahan duniya ko baham hai ya tujh se bichhadne ka nahin hausla mujh mein ya tere taghaful mein bhi andaz-e-karam hai thodi si jagah mujh ko bhi mil jae kahin par wahshat tere kuche mein mere shahar se kam hai ai ham-safaro tute na sanson ka tasalsul ye qafila-e-shauq bahut tez-qadam hai