luti bahaar ka sukha gulab rahne do hamari aankhon mein koi to khwab rahne do nae sire se chalo koi ahd karte hain wafa jafa ka purana hisab rahne do tamam-umr guzari hai in dayaron mein khulus hoga yahan dastiyab rahne do khumar utra nahin hai abhi to ashkon ka abhi ye saghar-o-mina sharab rahne do uthae phirte ho kya shahr-e-be-basirat mein kise dikhaoge dil ki kitab rahne do abhi to hum pe purane hi qarz baqi hain sawal kar ke na kahiye jawab rahne do gira zarur hai lekin mera nahin 'aslam' takallufat murawwat janab rahne do