is dasht se aage bhi koi dasht-e-guman hai lekin ye yaqin kaun dilaega kahan hai ye ruh kisi aur ilaqe ki makin hai ye jism kisi aur jazire ka makan hai karta hai wahi kaam jo karna nahin hota jo baat main kahta hun ye dil sunta kahan hai kashti ke musafir pe yunhi tari nahin khauf thahra hua pani kisi khatre ka nishan hai jo kuchh bhi yahan hai tere hone se hai warna manzar mein jo khilta hai wo manzar mein kahan hai is rakh se uthti hui khushbu ne bataya marte hue logon ki kahan ja-e-aman hai ye kar-e-sukhan kar-e-abas to nahin 'ami' ye qafiya-paimai nahin husn-e-bayan hai