ma-siwa se kahin begana banaya hota apne hi husn ka diwana banaya hota jam saghar subu khum-khana banaya hota zarf-e-dil dekh ke paimana banaya hota lau lagata na kisi ghair se ai sham-e-husn tum ne gar apna hi parwana banaya hota meri mahrumi-e-qismat ko jo sun pata raqib utni hi baat ka afsana banaya hota pahle allah mujhe zabt ki quwwat deta phir rahin-e-gham-e-jaanana na banaya hota un ke hathon pe pahunchne ka sharaf hi milta meri mitti se jo paimana banaya hota kash allah ka ghar jaan ke 'shoala' tum ne kaba-e-dil ko kalisa na banaya hota