hazar qaid-e-jawan se chhut kar bahaar ka aasra karenge bahaar bhi hum qafas-zadon ko na ras aai to kya karenge ab aur is ke siwa na hogi qafas mein taskin-e-dil ki surat chaman ki jaanib nazar utha kar kabhi kabhi hans liya karenge ye kya khabar thi ki sham-e-furqat mere liye sazgar hogi wo mah-o-anjum ki aad le kar mere fasane suna karenge nigah ki bandishen salamat junun ki pabandiyan musallam kahin bharam khul gaya to ai dil main kya karunga wo kya karenge ye dekhna hai ki baad-e-tark-e-talluqat ai 'shakil' kab tak na koi hum par jafa karega na hum kisi se wafa karenge