maal-e-ishq-o-mohabbat se aashna to nahin kahin ye gham bhi teri tarah bewafa to nahin safine walo chalo aaj dil ki baat kahen utho khuda ke liye nakhuda khuda to nahin ye aur baat hai mahaul sazgar na ho shikasta barbat-e-ehsas be-sada to nahin baja ki meri tabahi mein un ka hath nahin magar ye gardish-e-dauran ka hausla to nahin jumud-e-sehn-e-chaman inqalab-e-nau ki dalil shuur-e-ghairat-e-ahl-e-chaman mara to nahin sar-e-niyaz jhuka hai ze-rah-e-zauq-e-sujud tere karam ki qasam koi muddaa to nahin