wo dard-e-ishq jis ko hasil-e-iman bhi kahte hain siyah-bakhton mein us ko gardish-e-dauran bhi kahte hain jo aaghosh-e-haya mein ek dil-awez nashtar hai isi mauj-e-nazar ko gulshan-e-khandan bhi kahte hain hijabaat-e-nazar jalwon ki bebaki se kya utthen mohabbat ki nazar ko dida-e-hairan bhi kahte hain na khulwaen zaban achchha yahi hai hazrat-e-zahid ki is tark-e-talab ko hasrat-e-isyan bhi kahte hain kisi ke waste sarmaya-e-duniya-o-din thahren wahi nazren jinhen ghaarat-gar-e-iman bhi kahte hain jo dil mamura-e-sad-hasrat-o-yas-o-tamanna hai tajjub hai usi ko khana-e-viran bhi kahte hain ghalat-andaz si nazren tabassum be-niyazana taghaful-keshiyon ko dawat-e-arman bhi kahte hain jahan-e-ab-o-gil ko jis ne zauq-e-zindagi bakhsha use ai hazrat-e-naseh dil-e-nadan bhi kahte hain hai jis ke dam se duniya-e-mohabbat jannat-e-arman usi jaan-e-tarab ko fitna-e-dauran bhi kahte hain