maal-e-kar na kuchh bhi hua to kya hoga na hum rahe na zamana raha to kya hoga main hans raha hun zamane ki shad-kaami par charagh-e-aish jo gul ho gaya to kya hoga mujhe fareb na de ai tilism-e-khwab-o-khayal rukh-e-hayat agar phir gaya to kya hoga zamir-e-dahr mein wo zindagi ki lahr kahan dilon mein soz-e-mohabbat raha to kya hoga talash-e-manzil-e-hasti zarur hai lekin nishan-e-rah na gar mil saka to kya hoga tumhein yaqin hai ki hai khel raqs-e-betabi jo mere dil ko sukun aa gaya to kya hoga maal-e-mausam-e-gul hai khizan to phir ai 'hosh' hui bhi dawat-e-ab-o-hawa to kya hoga