main ne ab samjha hai raaz-e-kaenat kar raha hun gham se tamir-e-hayat kis tawaqqo par banaun aashiyan zindagi hai aur barq-e-hadisat manzil-e-gham is qadar aasan na thi rah gae munh dekh kar sabr-o-sabaat jo mohabbat se raha na-ashna ho ke rah jata hai nang-e-kaenat chha rahi hain har taraf hairaniyan aql hai begana-e-raaz-e-hayat mere rukh par to na the gham ke nishan tum samajh lete ho shayad dil ki baat 'hosh' kya kije hadis-e-gham bayan kaun kah sakta hai dil ki wardat