maal-e-soz-e-talab tha dil-e-tapan malum sitam ki aag bhi hone lagi dhuan malum shikasta-pa bhi pahunch hi gae sar-e-manzil na raste ki khabar thi na karwan malum shamim-e-dost badhati hai zindagi lekin hamein haqiqat-e-hasti abhi kahan malum na jaane fitna-garon ne lagai thi kab aag hamein to aanch hui us ki na-gahan malum guzar chuke had-e-tufan se mod lo kashti yahan se hote hain sahil ke kuchh nishan malum bichhad ke aap se kya kya guzar gai dil par kahun kisi se to ho us ko dastan malum ubhar ke kahte hain phulon se khar-e-gham 'ahsan' ki hum na hon to na ho rang-e-gulsitan malum