mabda-e-husn se kaise ye juda hai yaksar ki zaman aur makan ek ada hai yaksar ye jo di hai hamein aazadi-e-afkar-o-amal koi batlao jaza hai ki saza hai yaksar waqt hai tesha-o-shamshir ka jis mein kab se wo hatheli abhi masruf-e-dua hai yaksar marhaba jashn-e-jibillat ki nahin hum paband marhaba zist ki aazad-e-haya hai yaksar baat kahne ko hai kuchh aur jahan ka mamduh baal-e-jibril nahin baal-e-huma hai yaksar tu samajhta hai jise apna muizz-o-razzaq hum samajhte hain wahi tera khuda hai yaksar aaj jo fitrat-e-adam nazar aati hai hamein ye meri jaan zamane ki hua hai yaksar mamba-e-faiz se aati hai jo rahmat yan tak ye hamein aal-e-mohammad ki ata hai yaksar khaliq-e-khatm-e-rusul aal-e-eba ka masjud apna masjud magar aal-e-eba hai yaksar