khwahishon se bar-sar-e-paikar ho jaana pada khud hi dil ki rah mein diwar ho jaana pada un se puchho rizq ki majburiyan kya chiz hain subh hote hi jinhen bedar ho jaana pada nam uthae phir rahe the apni aankhon mein sabhi aaine ko ek din zangar ho jaana pada ism padhna tha ki sae chikhne par aa gae sab ke sab sayon ko phir ashjar ho jaana pada kat bhi rakhna padi lahje mein aahan dhaar ki makhmalin lafzon ko jab talwar ho jaana pada main ne sab ahbab ko khush rakkha jitna ho saka yun 'fida' har din mujhe mismar ho jaana pada