machalte rahte hain bistar pe khwab mere liye utare jate hain shab bhar azab mere liye main jab safar ke irade se ghar ko chhodta hun sulagta rahta hai ek aaftab mere liye main tera qarz chukaunga wasl ki rut mein tu apne ashkon ka rakhna hisab mere liye rifaqaton ki shagufta bashaaraten teri talluqat ke sare azab mere liye phir us ke baad jo tu chahe zulm kar duniya bas ek harf-e-dua mustajab mere liye fughan ka shor muqaddar hai hijr ki shab mein na koi naghma na chang o rabab mere liye ye kis nigah ka ezaz hai koi batlae kiye hain kis ne ye gham intikhab mere liye 'nadim' rishton ki har aankh shab-zada hai yahan har ek chehra hai jaise sarab mere liye