khud apni zat ka nam-o-nishan bhul gae riha hue to parinde udan bhul gae is inhimak se kar-e-zamin mein mahw hue zamin pe chhaya hua aasman bhul gae har imtihan mein pahla sabaq to yaad aaya kitab-e-ishq kahin darmiyan bhul gae na thaharna hi munasib na uth ke jaana hi bala ke ghar mein hamein mezban bhul gae us ajnabi ki rifaqat mein aisi khushbu thi hum apne sare safar ki thakan bhul gae na kar numud ki khwahish ki ye jahan wale bade-badon ka bhi nam-o-nishan bhul gae kuchh is tarah gham-e-umr-e-rawan ne khak kiya firaq-o-wasl ki sab dastan bhul gae