machalti hai mere aaghosh mein khushbu-e-yar ab tak meri aankhon mein hai is sehr-e-rangin ka khumar ab tak koi aata nahin ab dil ki basti mein magar phir bhi umidon ke charaghon se hain raushan rahguzar ab tak abhi tak nisf shab ko chandni gati hai jharnon mein nahin badli shabab-e-muntazir ki yaadgar ab tak jala rakkhe hain shahrahon pe ashkon ke diye kab se nahin guzra kabhi is samt se wo shahsawar ab tak shikast-e-arzu ko ishq ka anjam kyun samjhun muqabil hai mere aaina-e-lail-o-nahaar ab tak