nigal gae sab ki sab samundar zamin bachi ab kahin nahin hai bachate hum apni jaan jis mein wo kashti bhi ab kahin nahin hai bahut dinon baad pai fursat to main ne khud ko palat ke dekha magar main pahchanta tha jis ko wo aadmi ab kahin nahin hai guzar gaya waqt dil pe likh kar na jaane kaisi ajib baaten waraq palatta hun main jo dil ke to sadgi ab kahin nahin hai wo aag barsi hai dopahar mein ki sare manzar jhulas gae hain yahan sawere jo tazgi thi wo tazgi ab kahin nahin hai tum apne qasbon mein ja ke dekho wahan bhi ab shahr hi base hain ki dhundhte ho jo zindagi tum wo zindagi ab kahin nahin hai