madar-e-zat se aage kabhi nahin gaya tha main kaenat se aage kabhi nahin gaya tha tumhaari zulf ne us ko hila ke rakh diya hai jo shakhs raat se aage kabhi nahin gaya tha taghayyuraat ki mantiq udas hai lekin main tujh sabaat se aage kabhi nahin gaya tha husaini pyas ko chakkha to had se par hua sukhan furaat se aage kabhi nahin gaya tha hasin lams ne zanjir khinch rakkhi thi main tere hath se aage kabhi nahin gaya tha