madhoshiyon se kaam liya hai kabhi kabhi hath un ka hum ne tham liya hai kabhi kabhi mai-kash bhula sakenge na saqi ka ye karam girton ko us ne tham liya hai kabhi kabhi saqi ne jo pilai hamari hi thi kharid hum se bhi us ne dam liya hai kabhi kabhi kya baat hai ki tark-e-talluq ke bawajud hum ne tumhaara nam liya hai kabhi kabhi ai fart-e-shauq hum ne tasawwur ke faiz se nazzara un ka aam liya hai kabhi kabhi thukraata kaise husn ki is pesh-kash ko main majbur ho ke jam liya hai kabhi kabhi dekha kabhi nahin unhen ai 'raaz' bazm mein jalwa kanar-e-baam liya hai kabhi kabhi